Advertisement

Joyful learning in many schools.स्कूलों में चल रहा जॉयफूल लर्निंग।

Joyful learning in many schools.स्कूलों में चल रहा जॉयफूल लर्निंग। Indrajeet Ukey ....is prakar ke #balgeet,#gatividhi,#kavita,ke madhyam se prathmik aur madhyamik schools me students ko khel-khel me shiksha pradan ki ja sakti hai.school aur kaksha ka vatavaran bhaymukt aur ananddayi banaya ja sakta hai.students gatividhiyon ke madhyam se svyam karke sikhte hai.#joyful learning,ke anusar vibhinn khel khilakar students me school ke prati ruchi jagrat kar sakte hai.students gharo me n rahkar school aana aur school me pure samay tak rahna jyada pasand karte hai.students me school ke prati aakarshan badta hai.
Khel -khel me students ko sikhane se bachchon ka mansik tanav kam hota hai.kathin se kathin vishay - vastu ko bachche aasani se khel khel me sikh aur samajh lete hai.#gatividhiyo, ke madhyam se bachcho ka #maindmap,taiyar hota hai.bachche kabhi bhulte nahi aur viahay-vastu ko aasani se apne shabdo me paribhashit kar dete hai.students ki samajh viksit hoti hai.man ki bat sabke samne abhivyakt karne me asani hoti hai.bachcho ki jhijhak kam hoti hai.school ke sabhi students ki sahbhagita bad jati hai.students bina kisi bhedbhav ke ek sath khelte hai,sikhte hai,samajhte hai.school ka mahol aananddayi aur bhaymukt ban jata hai.
#gatividhi,#balgeet,#joyful learning,#khel khel me shiksha,#gatividhi adharit shiksha,#primery education,#prathmik shiksha,#manoranjak gatividhi,#educational indrajeet ukey,
Indrajeet Ukey My channel inspires to teach children in game play.#joyful learning,#activity,#educational indrajeet ukey,

लर्निंग।

Post a Comment

0 Comments